~~~~~~~~~~ A Red Carpet Welcome to My place Under the Sun ~~~~~~~~~~



Thursday, July 28, 2011

Second Last


Ek chehra tera Chupa Hua
Aanchal se Dhaka Hua
Aankhen jaise kuch kehti hain
Par Samajh usse kyun na payein
Ek Yeh Naadan Dil Hain

Aakhir aisi kya woh baat hain
Jubaan takk jo hain aati nahin
Bas aansra liye ruki hain
Ki kab durr ho woh Faansle
Aankho se Hotho takk jo beechi hain

Kaise Ehsaas Dilaaye Unko
Ki Ek Woh hain
Aur Woh hi Toh Hain
Baaki sab se toh Hume koi Vaasta hi nahin 
Par Jaane iss Baat pe unko kyun aata Yekin nahin

Unki Hansi bhi jo itni pyaari hain
Ab to Sharmaane bhi woh humse lagi hain
Hum toh aaj bhi Ummid mein Jeete hain
Ki Pyaar Unko bhi hain
Jo Pyaar Humko bhi hain !!!

Monday, July 25, 2011

Tum




Khusiyon ki Jo Shaugat laaye Woh Tum Ho
Zindagi mein Jo ujala Laaye Woh Tum Ho
Dhup se jo Roshini aaye Woh Tum Ho
Rango ki Jo Bahaar dhaaye Woh Tum Ho
Bus Tum Ho

Har Ek Lamha Jo beet jaaye Woh Tum Ho
Nadiyo mein jo Dhar laaye Woh Tum Ho
Asha Ki Jo ek Kiran pohushaye Woh Tum Ho
Aasma mein udta hua jo pankh hain Woh Tum Ho
Bus Tum Ho

Hawao Ki Jo Sharsharahat hain Woh Tum ho
Pehle Baarish ki jo Mehek Hain Woh Tum Ho


Meetti Ki Jo Khusboo Hain Woh Tum Ho
Jeene Ki Jo Chah hain Woh Tum Ho
Bus Tum Ho

Ab Bus Yehi Lagta hain
Ki Tum Ho
Kyunki har ek Jarre mein Ek Tum Ho
Bus Tum Ho
Bus Tum Ho 
Haan
Sirf Tum Ho  !!!

Sunday, July 24, 2011

Kyun ?




Dil Tu Kyun Yeh Karta Hain
Har Pal Kuch Talaasha Karta Hain
Bus Lamho Ko Samente Chalta Hain
Aur Hansi – Aansu Ki Daur Lataa Hain
Dil Tu Kyun Yeh Karta Hain

Kuch Pal Hume bhi Toh Jeene de
Yaado ki Barsaato mein Bheegane De
Jaadu sa ehsaas pane de
Aur Aasma  mein aise hi Udne de

Dil Tu Kyun Yeh Karta Hain
Pyaar Karke Dard Hume deta hain
Dil Tu Kyun Yeh Karta Hain
Toote Baar Baar aur phir bhi Unki Raah mein Chal padta hain